Saturday, December 23, 2023

Done with school exams (23 December, 2023)

 This year is about to end.

Naya saal aane wala hai.

Finally school exams khatam ho gaye, kaafi saare paper kharab gaye.

I am doubtful if I will pass this exam or not, but jo hai so hai.

Ab JEE ki taiyari wapas chalu.

(Update: I passed all the subjects except chemistry)

Regards,

JEE Aspirant

Sunday, December 17, 2023

School Exams are shit (17 December)

Yesterday was my english exam, aur vo chut gaya literally around 8 marks ka chut gaya out of 30 (bruh)

Kal Chemistry ka hai and I am not prepared.

Thermo aur GOC aa raha hai.

I am fucked.

Regards,

JEE Aspirant

Tuesday, December 12, 2023

Comeback ? (12 December, 2023)

Not gonna lie, I forgot about this blog page.

School exams hai 16 se (periodic test)

Today I covered Maths 

Tomorrow, I will do physics

Day after tomorrow, Chemistry

Also I have enrolled myself in Competishun (Coaching).

Ab mein vahin padh raha hun online, abhi 1 hafte ka backlog ho gaya because of these school exams but I will cover it up easily.

Will try to write daily blogs.

Regards,

JEE Aspirant

Saturday, October 28, 2023

I am back (28 October, 2023)

In tin mahinon mein bahut ups & down aaye par (mainly down) :)  

Ab festivals ka season chal raha hai, Dussehra nikal gaya 24 ko

Ab diwali aane vali hai kuch hi din mein

Maine bich mein preparation chod di thi

But I am back now

Regards,

JEE Aspirant

Friday, August 18, 2023

August 18 (Day 8)

Hello, subah ke 11 baje likh raha hun. Kal likhna bhul gaya, dusre bachon ko dekh ke demotivate ho jata hun, pata nahi kyun.

Vo log black book, peeli book, pathfinder, naa jane kya kya kar rahe hai. Mujhse to kuch bhi nahi ho raha hai. Man to karta hai, ganga ji mein kud jaun, sab khatam, vaise bhi ye sab moh maya hai. Par nahi kar sakta. 

Mujhmein vo focus nahi hai IIT mein jaane layak, par mein bas kar raha hun kuch, pata nahi kya bas time jaa raha hai, mein roj kuch na kuch thoda bahut padh leta hun, ghanta kuch samajh nahi aata, dusro ko dekh ke mujhe apne aap pe sharm aati hai, pata nahi kya hoga mera. 

Bhagwan jaane mera kya hoga. Vahi meri naiya paar laga sakte hai. Mein thak gaya hun.

Regards,

JEE Aspirant

Wednesday, August 16, 2023

August 16 (Day 7)

 Hello, Raat ke 10:30 baje likh raha hun. Aaj bhi kuch improvements hue book padne ki methodology mein.

Maine competishun ki test series li thi 720rs mein 11th class ke liye, maine uska ek bhi test nahi diya, ab se start karunga, 20 ko ek test hai.

Physics mein abhi tak Kinematics bhi nahi hua hai, NLM bhi nahi hua hai, but test mein NLM, Circular Motion, Work Power Energy aa rha hai.

Maine decide kiya hai ki WPE kar leta hun, vo in sabse itna related nahi hai, isiliye kar raha hun.

Mechanics hajam nahi ho rahi hai abhi tak. Maths mein Binomial kar raha hun.

Chemistry mein aaj kuch nahi kiya, kal karunga, Aaj raat der tak padunga.

12 baje tak to padunga hi, varna mein roj 11 baje so jata tha, Mujhe laptop lena hai ek college mein jaane ke baad acha sa jismein mein khub saare games khel paun like GTA 5, RDR 2, etc. etc.

Par vo laptop bahut mehenga hai, , mammi papa tab hi dilayenge jab IIT mein hoga admission.

Vaise mein ek naya page daalne ka soch raha tha blog mein jismein saari coachings ke materials ke links share kar dunga mein, baad mein sochenge is baare mein.

Ab padhna hai.

Regards,

JEE Aspirant

Tuesday, August 15, 2023

August 15 (Day 6)

 Hello, Raat ke 10:15 pe likh raha hun, Happy Independence Day Sabko😃. 

Aaj physics mein cengage ki kinematics vale chapter ki, dhire dhire confidence aa raha hai, aur book ko karne ki methodology bhi pata chal rahi hai

Ab mein book ka use karna sikh gaya hun varna pehle jaise book le ke jaa rahi hai mein ussi raste pe chalta rehta tha, phir bich mein khai aati thi usmein gir jata tha because of Indian Authors. Yahan ke authors pata nahi bich bich mein kya nashe karte hai, achanak se itna bada variation le aate hai question mein, yaa phir kabhi kabhi to Heading mein Topic ka naam bhi likha hoga, parantu jab padne baithoge to us Topic ke baare mein hi nahi padne ko milega. 

Ek heading thi "Force and Superpostion", kuch aisa hi tha but last mein superpostion tha ye sure hai.

Pura padh dala magar usmein superposition ke baare mein ek word bhi nahi likha mila mujhe phir 3-4 examples baad hi superposition se related ek question aa gaya. Alag hi hai Indian Authors, khud ka kuch original nahi hai. Us kitab ka naam Physics Galaxy tha aur author Shri Shri Asus(Ashish) Arora Sir.

Cengage Physics is quite good, no doubt. Mujhe achi lagi vo kitab, bahut detail mein hai vo. Theory wise to mujhe cengage better lagi ABHI TAK. Aage ka pata nahi.

Regards,

JEE Aspirant

Sunday, August 13, 2023

August 13 (Day 5)

Raat ke 10 baje likh raha hun, Day 4 ke baad tabiyat kharab ho gayi thi, Day 4 ko hi bahut uneasy lag raha tha isiliye jyada kuch nahi likha, 2-3 din bimar rehne ke baad phir se meri consistency chali gayi, ab aaj phir se chalu ki hai padai.

Ab mein sirf books se padh raha hun kyunki lectures mein bahut time jaa raha hai, usse backlog kam hone ki jagah badh raha hai, isiliye maine books karna start kar diya hai,

Maths mein cengage, jahan samajh nahi aata hai vahan Mohit Tyagi ke lectures dekh leta hun,

Physics mein Physics Galaxy,

Chemistry mein Cengage and Mohit Tyagi.

Independence Day bhi aane vala hai, pata nahi coaching mein chuti hogi ki nahi ?

Chalo Bye, Kal se daily likhunga

Regards, 

JEE Aspirant

Wednesday, July 26, 2023

July 26 (Day 4)

 Subah ke 11:30 baje likh raha hun. Aaj nani ki tabiyat nahi sahi hai, unki dekhbal ke chakkar mein padai nahi ho pa rahi hai. 

Kal VG Sir ka homework kar liya tha, Aur Physics ki DPP bhi karli

aaj mood sahi nahi hai,

Kal likhunga

Regards,

JEE Aspirant

Tuesday, July 25, 2023

July 25 (Day 3)

 Dopahar ke 12:30 baje likh raha hun. Aaj koi paper nahi tha school mein, magar aaj coaching jaana padega offline vali, shaam 4 se raat 9:30 tak lagti hai. Maine socha hai aaj maths vali mein (4 se 6:30) module solve karuga apni kaksha vala compund angles ka homework karunga.

Physics vali (6:30 se 9:30) mein nahi jaunga aaj, ghanta kuch samajh nahi aata hai, ghar pe aake physics padunga vinay uppal se

Kal maine vinay uppal sir se physics padi and mere se irodov ka ek question ho gaya, unhone class mein hi karva diya, ek pathfinder ka bhi ho gaya, mein bahut khush hun, maja aa gaya

Abhi maths kar raha tha vg sir se, bahut tej chalte hai but sahi teacher lage mere ko, thoda high level padate hai, ek lecture maine gb sir ka bhi dekha tha, bahut sahi samajh aaya unse, but sab log yahi keh rahe the ki vg sir se padho to mein unhi se padh raha hun, vaise sahi bataun to maine kabhi gb sir ke results nahi dekhe, famous to bahut hai but aaj tak ek result nahi dekha, mein unki capabilities pe shak nahi kar raha hun bas reality bata raha hun.

Bas meri speed bahut slow hai, bahut kam padta hun ek din mein, backlog ki jyada chinta nahi hai kyunki mujhe pata hai ki advace mein saare chapters kar ke jaane ke baad bhi gurantee nahi hai ki ek bhi sawal ho jaye, isiliye mein abhi chapters ko time de raha hun.

Aaj coaching mein doston ke saath nahi baithunga, bahut majak banate hai mera, grouping karte hai mere khilaf, ekdam alag baithunga aur chup chap module solve karunga.

Regards,

JEE Aspirant

Monday, July 24, 2023

July 24 (Day 2)

 

Subah ke 11 baje likh raha hun 

Aaj test tha school mein chemistry ka, bekar gaya, just pass hun shayad, aaj mein physics padunga aur kinematics pura niptane ki koshish karunga

kal bhi aisa hi kuch bola tha but chemistry ke chakkar mein time hi nahi mila, aaj kuch khaas experience nahi hua bas subah subah thodi dikkat ho gayi, kyunki aaj mein pehli baar naye school gaya tha khud se, school around 7-8 km door hai aur aise area mein hai jahan mein jyada nahi gaya hun to aaj bahut dikkat hui subah school pahuchne mein but mein sahi time pe pahunch gaya. 

Aaj sawan ka somwar hai, vrat rakha tha but galti se ghar aate vakt chips kha liye dhyan nahi raha

Vaise ye blog likhne se mere man ko badi shanti milti hai, jaise log diary mein likhte hai vaise mein yahan likhna pasand karta hun thoda bahut man halka ho jata hai aur time bhi jyada waste nahi hota, sirf 5 min mein ho jaati hai ek post. 

Soch raha tha ki chemistry ka module lelun apni kaksha ka, maths ka already le chuka tha star batch vala, physics ka mehenga hai, chemistry ka thoda sahi hai around 275 rs. ka hai, pitaji se itne paise kharch karva diye kitabo pe, ab kaise kahun unse jaake ki dila de, acha nahi lagta aise mangna jab pehle hi itne paise kharch kara diye ho. 

Ok ab kal likhunga, 

Regards,

JEE Aspirant

Sunday, July 23, 2023

July 23 (Day 1)

Subah ke 11 baje likh raha hun ye. Ye mera 1st blog hai. Meri preparation ekdam ghatiya chal rahi hai, ekdam vahiyad, maine apni kaksha ka batch le rakha hai aur ek offline coaching bhi jaata hun maths aur physics ki, Chemistry ki join nahi kari coaching kyunki ek senior ne mujhe galat advice de di thi. Abhi mein 11th mein hun ,july ka mahina hai, coaching april mein start hui thi. Koshish to bahut kar raha hun but man nahi lagta padai mein. Bahut Distractions hai sala. Ab se padna chalu karunga. Maine naya school join kiya tha abhi because purane school mein roj jaana padta tha, Naye school mein sirf unit tests dene aana hota hai baaki pura time ghar pe rah sakte ho. 

Physics samajh nahi aati chahe kisi se bhi padh lo. Nitin Sachan sir se bhi samajh nahi aaya. Ab youtube pe koi vinay uppal karke mile teacher, unse thoda bahut aa raha hai samajh. Mere so called doston se bhi irodov pathfinder ho jaati hai, mere se to kuch nahi ho raha hai.

Chemistry chalu bhi nahi kari hai ab tak, upar se kal school ka test hai chemistry ka.

Maths mein cengage lagane ki koshish ki to kuch samajh nahi aaya, arihant ki to usse bhi man uth gaya kyunki ek bhi question khud se nahi ho raha tha.                    

Ab jaa raha hun padne. Purane samay ke baare mein rone ka koi fayda nahi ab padhunga. Mujhe Under 200 rank chahiye advance mein. College ka baad mein dekhenge.

Regards,                                                                                                                  

JEE Aspirant