Subah ke 11 baje likh raha hun ye. Ye mera 1st blog hai. Meri preparation ekdam ghatiya chal rahi hai, ekdam vahiyad, maine apni kaksha ka batch le rakha hai aur ek offline coaching bhi jaata hun maths aur physics ki, Chemistry ki join nahi kari coaching kyunki ek senior ne mujhe galat advice de di thi. Abhi mein 11th mein hun ,july ka mahina hai, coaching april mein start hui thi. Koshish to bahut kar raha hun but man nahi lagta padai mein. Bahut Distractions hai sala. Ab se padna chalu karunga. Maine naya school join kiya tha abhi because purane school mein roj jaana padta tha, Naye school mein sirf unit tests dene aana hota hai baaki pura time ghar pe rah sakte ho.
Physics samajh nahi aati chahe kisi se bhi padh lo. Nitin Sachan sir se bhi samajh nahi aaya. Ab youtube pe koi vinay uppal karke mile teacher, unse thoda bahut aa raha hai samajh. Mere so called doston se bhi irodov pathfinder ho jaati hai, mere se to kuch nahi ho raha hai.
Chemistry chalu bhi nahi kari hai ab tak, upar se kal school ka test hai chemistry ka.
Maths mein cengage lagane ki koshish ki to kuch samajh nahi aaya, arihant ki to usse bhi man uth gaya kyunki ek bhi question khud se nahi ho raha tha.
Ab jaa raha hun padne. Purane samay ke baare mein rone ka koi fayda nahi
ab padhunga. Mujhe Under 200 rank chahiye advance mein. College ka baad
mein dekhenge.
Regards,
JEE Aspirant