Friday, August 18, 2023

August 18 (Day 8)

Hello, subah ke 11 baje likh raha hun. Kal likhna bhul gaya, dusre bachon ko dekh ke demotivate ho jata hun, pata nahi kyun.

Vo log black book, peeli book, pathfinder, naa jane kya kya kar rahe hai. Mujhse to kuch bhi nahi ho raha hai. Man to karta hai, ganga ji mein kud jaun, sab khatam, vaise bhi ye sab moh maya hai. Par nahi kar sakta. 

Mujhmein vo focus nahi hai IIT mein jaane layak, par mein bas kar raha hun kuch, pata nahi kya bas time jaa raha hai, mein roj kuch na kuch thoda bahut padh leta hun, ghanta kuch samajh nahi aata, dusro ko dekh ke mujhe apne aap pe sharm aati hai, pata nahi kya hoga mera. 

Bhagwan jaane mera kya hoga. Vahi meri naiya paar laga sakte hai. Mein thak gaya hun.

Regards,

JEE Aspirant

Wednesday, August 16, 2023

August 16 (Day 7)

 Hello, Raat ke 10:30 baje likh raha hun. Aaj bhi kuch improvements hue book padne ki methodology mein.

Maine competishun ki test series li thi 720rs mein 11th class ke liye, maine uska ek bhi test nahi diya, ab se start karunga, 20 ko ek test hai.

Physics mein abhi tak Kinematics bhi nahi hua hai, NLM bhi nahi hua hai, but test mein NLM, Circular Motion, Work Power Energy aa rha hai.

Maine decide kiya hai ki WPE kar leta hun, vo in sabse itna related nahi hai, isiliye kar raha hun.

Mechanics hajam nahi ho rahi hai abhi tak. Maths mein Binomial kar raha hun.

Chemistry mein aaj kuch nahi kiya, kal karunga, Aaj raat der tak padunga.

12 baje tak to padunga hi, varna mein roj 11 baje so jata tha, Mujhe laptop lena hai ek college mein jaane ke baad acha sa jismein mein khub saare games khel paun like GTA 5, RDR 2, etc. etc.

Par vo laptop bahut mehenga hai, , mammi papa tab hi dilayenge jab IIT mein hoga admission.

Vaise mein ek naya page daalne ka soch raha tha blog mein jismein saari coachings ke materials ke links share kar dunga mein, baad mein sochenge is baare mein.

Ab padhna hai.

Regards,

JEE Aspirant

Tuesday, August 15, 2023

August 15 (Day 6)

 Hello, Raat ke 10:15 pe likh raha hun, Happy Independence Day Sabko😃. 

Aaj physics mein cengage ki kinematics vale chapter ki, dhire dhire confidence aa raha hai, aur book ko karne ki methodology bhi pata chal rahi hai

Ab mein book ka use karna sikh gaya hun varna pehle jaise book le ke jaa rahi hai mein ussi raste pe chalta rehta tha, phir bich mein khai aati thi usmein gir jata tha because of Indian Authors. Yahan ke authors pata nahi bich bich mein kya nashe karte hai, achanak se itna bada variation le aate hai question mein, yaa phir kabhi kabhi to Heading mein Topic ka naam bhi likha hoga, parantu jab padne baithoge to us Topic ke baare mein hi nahi padne ko milega. 

Ek heading thi "Force and Superpostion", kuch aisa hi tha but last mein superpostion tha ye sure hai.

Pura padh dala magar usmein superposition ke baare mein ek word bhi nahi likha mila mujhe phir 3-4 examples baad hi superposition se related ek question aa gaya. Alag hi hai Indian Authors, khud ka kuch original nahi hai. Us kitab ka naam Physics Galaxy tha aur author Shri Shri Asus(Ashish) Arora Sir.

Cengage Physics is quite good, no doubt. Mujhe achi lagi vo kitab, bahut detail mein hai vo. Theory wise to mujhe cengage better lagi ABHI TAK. Aage ka pata nahi.

Regards,

JEE Aspirant

Sunday, August 13, 2023

August 13 (Day 5)

Raat ke 10 baje likh raha hun, Day 4 ke baad tabiyat kharab ho gayi thi, Day 4 ko hi bahut uneasy lag raha tha isiliye jyada kuch nahi likha, 2-3 din bimar rehne ke baad phir se meri consistency chali gayi, ab aaj phir se chalu ki hai padai.

Ab mein sirf books se padh raha hun kyunki lectures mein bahut time jaa raha hai, usse backlog kam hone ki jagah badh raha hai, isiliye maine books karna start kar diya hai,

Maths mein cengage, jahan samajh nahi aata hai vahan Mohit Tyagi ke lectures dekh leta hun,

Physics mein Physics Galaxy,

Chemistry mein Cengage and Mohit Tyagi.

Independence Day bhi aane vala hai, pata nahi coaching mein chuti hogi ki nahi ?

Chalo Bye, Kal se daily likhunga

Regards, 

JEE Aspirant