Dopahar ke 12:30 baje likh raha hun. Aaj koi paper nahi tha school mein, magar aaj coaching jaana padega offline vali, shaam 4 se raat 9:30 tak lagti hai. Maine socha hai aaj maths vali mein (4 se 6:30) module solve karuga apni kaksha vala compund angles ka homework karunga.
Physics vali (6:30 se 9:30) mein nahi jaunga aaj, ghanta kuch samajh nahi aata hai, ghar pe aake physics padunga vinay uppal se
Kal maine vinay uppal sir se physics padi and mere se irodov ka ek question ho gaya, unhone class mein hi karva diya, ek pathfinder ka bhi ho gaya, mein bahut khush hun, maja aa gaya
Abhi maths kar raha tha vg sir se, bahut tej chalte hai but sahi teacher lage mere ko, thoda high level padate hai, ek lecture maine gb sir ka bhi dekha tha, bahut sahi samajh aaya unse, but sab log yahi keh rahe the ki vg sir se padho to mein unhi se padh raha hun, vaise sahi bataun to maine kabhi gb sir ke results nahi dekhe, famous to bahut hai but aaj tak ek result nahi dekha, mein unki capabilities pe shak nahi kar raha hun bas reality bata raha hun.
Bas meri speed bahut slow hai, bahut kam padta hun ek din mein, backlog ki jyada chinta nahi hai kyunki mujhe pata hai ki advace mein saare chapters kar ke jaane ke baad bhi gurantee nahi hai ki ek bhi sawal ho jaye, isiliye mein abhi chapters ko time de raha hun.
Aaj coaching mein doston ke saath nahi baithunga, bahut majak banate hai mera, grouping karte hai mere khilaf, ekdam alag baithunga aur chup chap module solve karunga.
Regards,
JEE Aspirant